Tuesday, 28 March 2017

kis tarah karai mene apne dost ki love marriege

mere dost ki shadi ka raaz......................................................
hi dosto aaj me aap ko batane ja raha hu, mere jivan se judi sacchi kahani, dosto yaha ek sacchi kahani hai mere dost ki jiska naam rohit hai jo mujhe, jab me reliance jio me kaam karta tha rohit bhi wahi job par aaya hum sath hi me kaam karte the, rohit rojana uski girlfriend se baate kiya karta tha me use dekha karta or kehta tha ki tu pagal mat ho jana use ke cakkar me, or dosto wahi hua , ek din esa aaya jab rohit uske bina reh nahi pata tha, na hi wo use kisi or ke sath dekh pata tha, ab wo usase whatsapp par chatting karta rehta or din raat baate karta rehta, is baat ki puri khabar uske ghar walo ko ho gai thi, lekin wo uske baad bhi usase hi baate kiya karta tha, aachanak mene dekha ki rohit kai dino se use ladki se baat nahi kar raha hai mene usase pucha to usane kaha ese hi , koi baat nahi hai magar me samaj gaya, us ke man main kya hai me samaj gaya tha, ki wo paresan hai, wo kaam ke waqt ghussa ho jata jo is ka hi ek hissa tha, jab wo jyada paresan hua to mene usase kaha, bhai dekh tu uske bina nahi reh sakta hai, to baat kyo band kar raha hai usne mujhe bataya ki mere ghar  wale mana kar rahe hai, mene kaha dekh sadi to kisi na kisi se karni hai, agar us ladki me koi burai ho to, tu use abhi hi chod de, usne mujhse kaha ki koi bhi burai nahi hai,

aaiye dosto aage ki kahani start karte hai ,,
to mere dost ne kaha ki usme koi burai nahi hai , tab mene kaha ki burai nahi hai to tu sadi kar le ,, tab usne ghar walo se ladhai karne ki than li or shadi ke liye tyar ho gaya ,,, ek din uske ghar wale use isi baat par paresan kar rahe the tabhi wah ,, mere pass aaya or bola kya karu yaar mene use ghar chod dene ko kaha wo ghar chod kar kahi chala gaya ,, ab uske ghar wale paresan ho rahe hai ,, 2 din ke baat jab usne ghar walo se baat kari to uske ghar wale man gaye or shadi ka rista lekar us ladki ke ghar chale gaye ,,, kuch din bit gaye ,, shadi ko ek mahina bacha hua tha ,, achanak mere dost ke papa ne natak karna suru kar diya ,, jese tabiyat kharab ho jana ,, jabran bimar ho jana ,, me janta tha to mene , mene mere dost ko kaha ki karne de natak thode din me apne aap thik ho jayenge ,, jab thik ho gaye to mene apne dost ko kaha ki tu to unke mathe aana ki me to ab usi se shadi karunga chahe jo ho jaye ab hum dono ki baat pakki ho gayi hai or me us ladki ko dhokha nahi de sakta hu ,, wese bhi kisi or se mujhe shadi nahi karna hai ,, jab uske ghar walo ko laga  ki ye nahi manane wala hai to uski shadi ke liye uski badi didi tyar ho gayi or shadi karane ke liye sath diya ,, 

wo kehte hai na love marriege me koi na koi to natak karta hi hai ,, uske papa or choti bahan ne uska sath nahi diya lekin jab uski maata uske sath hai to mene kaha kisi ki jarurat nahi hai bhai ,, sabse badi teri maa hai jab wo raji hai to kisi ki parwah nahi karna ,, or wo chad gaya ghodi par, hum sab dosto ne uska bana bhi nikala or bahut nache ,, aaj uski shadi ko 6 month hone wale hai ,, wo bahut khush hai ,, me yahi chahta tha , , sirf uski khushi .,,, 
to dosto bataiye ga aap ko meri yaha kahani kesi lagi ,,